Wo kaisi ulfat hai jaana
Dil bhi lagana musibat hai jaana par
Tu bari dilkash hai jaana
Tu bari dilkash hai jaana
Le tere ishq mein deewane ki ho gayi kya haalat hai jaana par
Tu bari dilkash hai jaana
Le hazir phir teri khidmat mein jaana
Na tu, haan tu mere ishq ko aabaad kar
Yoon, kuch yoon bhar baahon mein ke aazaad kar
Tu rakh le saansein meri girwi magar
Ye karz deke mujhse kabhi jaane ki na phir baat kar
Le jaan-e-jaan tera hua
Jee chaahe vaise kharch de
Kar de dawa har dard ki
Jee bhar ke phir se mujhe dard de
Kar zaalima ik aur dafa barbaad
Par is shart pe
Tere hijr-o-gham se na marein
To maar dena mujhe hans ke
Baithe baithe chaukhaton pe teri meri jaana kitne hi din yoonhi kat gaye haaye
Bhoori bhoori aankhein jise dekhein maar daalein mujhe bhi dekho nazar bhar ke haaye
Jaan ja rahi ho par tu saamne jo mere dil dekhe tujhe ruk ruk ke haaye
Ye mehndi mere naam ki hatheliyon pe teri ho khudaaya aisa kuch kar de haaye
Sab haar baitha teri chaand baaliyon ke sadqe
Teri misaalein Nusrat ki qawwaliyon mein darj hain
Main maamooli sa shaayar teri taareefein karun
Tu meri shaayri pe bajne waali taaliyon se barh ke
Mujhe zaroorat teri jaise raat ko subah ki
Jaise baat ko zubaan ki bande zaat ko khuda ki
Tu khwaab mera chaahun apne khwaab ko main paa loon
Tu zaroorat meri jaise uthte haath ko dua ki
Mere sajdon mein shaamil aur namazon mein bhi
Mere gunaah mein shaamil tu meri sharaab mein bhi
Aur jab sharaab ban ke utre mere jism mein tu
Har zarra zarra tera mera kuch bacha hi nahin
Le jaan-e-jaan tera hua
Jee chaahe vaise kharch de
Kar de dawa har dard ki
Jee bhar ke phir se mujhe dard de
Kar zaalima ik aur dafa barbaad
Par is shart pe
Tere hijr-o-gham se na marein
To maar dena mujhe hans ke
JAAN-E-JAAN Lyrics
Aditya Rikhari,
Farhan Khan
Song Information & Credits
| Song Title | JAAN-E-JAAN |
|---|---|
| Singer(s) | Aditya Rikhari, Farhan Khan |
| Composer | Aditya Rikhari, Farhan Khan |
| Lyricist | Aditya Rikhari, Farhan Khan |
| Music Label | T-Series |
| Language / Genre | Hindi |
| Release Date | 23 October, 2026 |
Comments (0)